hsy best collections..

hsy 
Umeed to manzil pe pohnchnay ki bari thi
Taqdeer magar janay kaha soi parri thi

hsy 
Wohi ahal e karwan hain wohi be hisi ka alam,
Na kisi ko manzil na gham e shikasta pani.

hsy 
Najane kab ka pohanch bhi choka sar e manzil,
Wo shakhs jis ka humen intazar rah me hai.

hsy 
Na zaat me koi manzil na kainat me hai,
Safar karon to kahan mera koi jada nahin.

hsy 
Nerangi siasat e doran to daikhye,
Manzil unhain mili jo shareek e safar na the.

hsy 
Muhabbat ki bus itni kahani,
Safar asaan hai manzil kari hai.



hsy 
Manzil pe aa k shad e ajab hadsa hoa,
Me hum safar ko bhol gea hum safar muje

hsy 
Me akela hi chala tha janib manzil magar,
Log sath ate gae aur karwan banta gea.





hsy 
Ghar se nikal khare hoe phir pochana hi kia,
Manzil kahan se pass pare gi kahan se door.

hsy 
Ghar se nikal pare hain awargi utha kar,
Hum ko yahi bahot hai asbab is safar ka.

No comments:

Post a Comment